Breathless - Lyrics

Artist: Shankar Mahedavan
Lyrics: Javed Akhtar

Koi jo mila to mujhe
aisa lagta tha
jaise meri saari duniya main
geeton ki rut
aur rangon ki barkha hai
khushbu ki aakdhi hai

mahki hui si ab saari fizaayen hain
bahki hui si ab saari hawaayen hain
khoyi hui si ab saari dishaayen hain
badli hui se ab saari adaayen hain

jaagi ummengein hain
dhadak raha ahi dil
sanson main toofaan hai
hoton pe nagme hain
aakhon main sapne hain
sapnon main beete hue
saare vo lamhe hain

jab koi aaya tha
najazron pe chhaya tha
dil main samaya tha
kaise main bataun tumhe
kaise use paaya tha
pyaare se chehre pe
bikhri jo julphen to
aisa lagta tha jaise
kohre ke peechhe
ek os main dhula hua phool khila hai

jaise badal main ik chaand chhupa hai
aur jhaank raha hai
jaise raat ke parde main
ek savera hai
roshan roshan aakhon main
sapnon ka saagar
jismain prem sitaron ki chaadar
jaise jhalak rahi hai

lahron lahron baat kare to
jaise moti barse
jaise kahin chandi ki payal goonjey
jaise kahin sheeshe ki jaam girey
aur chhann se tootey

jaise koi chhip ke sitaar bajaye
jaise koi chaandni raat main gaye
jaise koi hole se paas bulaye

kaisi meethi baatain thee vo
kaisi mulakaatein thee vo
jab maine jaana tha
nazron se kaise pighalte hain dil
aur aarzoo paati hai kaise manzil
aur kaise utarta hai chaand jameen par
kaise kabhi lagta hai swarg agar hai
to bas hai yahin par

usne bataya mujhe
aur samjhaya mujhe
hum jo mile hain hamain
aise hi milna tha
gul jo khile hain unhe
aise hi khilna tha
janmo ke bandhan
janmo ke rishtey hain
jab bhi hum janme to hum yahin milte hain

kaanon main mere jaise
shahed sa ghulne lage
khwaabon ke dar jaise
aakhon main khulne lage
khwaabon ki duniya bhi kitni haseen
aur kaisi rangeen thee
khwaabon ki duniya jo
kahne ko thee par kahin bhi nahi thee

khwaab jo toote mere
aakh jo khuli meri
hosh jo aaya mujhe
maine dekha maine jaana

vo jo kabhi aaya tha
nazron pe chhaya tha
dil main samaya tha
ja bhi chuka hai
aur dil mera ab hai tanha tanha
na to koi armaan hai
na koi tamanna hai
aur na koi sapna hai

ab jo mere din aur
ab jo meri ratain hain
unmain sirf aansoon hain
unmain seif dard ki ranj ki batain hain
aur fariyaadein hain
mera ab koi nahi
main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain (3)

Comments